Monday 10 August 2015

Samay Simit Nyaay Pranaali, Bharat Ki Zarurat!

Bharat ki nyaay pranaali ek swatantra nyaay parnaali hae, jiske uchyatam sthaan par Bharat ka Sarwochyam Nyaayaalay sthaapit hae. Bharat ke Swanwidhaan ki Vyakhya karne ki zimmedaari bhi Bharat ke Sarwochyam Nyaayaalay ke paas hi hae. Bharat me Sarwochyam Nyaayaalay ke paas Sansad ya kisi bhi Vidhan sabha dwaara banaye kisi bhi qaanun ko awaed ghoshit karne ka adhikar hae, yadi Sarwochyam nyaayaalay ose Bharat ke Sanwidhaan ke bunyadi dhaanche ke viprit maane, iske baad bhi, Bharat ke swanwidhaan ka bunyaadi dhaanche kya hae, isko bhi tay karne ka adhikaar Sarwochyam Nyaayaalay ka hi hae. Ye hae hamaare nyaay pranaali ki shakti.

Bharat ke logou ka wibhinn sarkaro ke khilaaf, jin sarkaaro ne kayi baar aswanvidhaanik kaary kiye the, aakhri samaadhan nyaay pranaali hi rahaa hae; hamare nyaay pranaali ne hi hamesha hume sharan di hae. Bharat ki nyaay pranaali ki zimmedaari hae ke har ek, jiske bhi saath ghalat hua ho ose nyaay de.

Lekin 120 crore Bhartiya achi tarha se jaan te hae ke Bharat me Nyaaytantra ki gati kitni dhimi hae, kayi baar tou iski dhimi gati saamanya manushyo ke jiwan kaal ko bhi paar kar jaati hae, is haalat ko hum sampurna nyaay pranaali tou nahi keh sakte hae naa! Ek vyakti khud ke saath hue anyaay ke khilaaf ek maamla daair karta hae, ek vyakti khud ko nirdosh saabit karne me laga hua hae us apraadh ke aaroop me jisme wo shaamil hi nahi tha; log uljhe huwe hae gharelou maamlou se lekar aatankwaad ke maamlou tak, sab hi ke maamlou me ek chiz tou samaan hae, wo ye ke unhe intezaar karna hae, kitna intezaar, koi nahi jaanta!



Koi bhi Nyaay pranaali jo manushya ke saamanya jiwan kaal ko hi paar kar jaaye bey maaine hokar reh jaata hae. Ek vyakti jo kisi maamle me uljha hua hae jisme 30 saal, 25 saal, 20 saal lag jaaye, kya hum ose nyaay keh sakte hae? Ek varisht naagrik jiski umar 60 saal, 70 saal, 80 saal ho kya wo soch sakta hae ke wo koi maamla nyaayaalay me daair kare, jisme agle 20, 30 saal lag jayenge, ose tou yahi lagega ke isse tou acha hi hoga ke wo anyaay seh kar khamosh baith jaaye kyuke uske paas nyaay ke liye ladne me lagne waale 20, 30 saal tou uske paas bache hi nahi hae!



Hume ise aapaatkaalin zarurat maan kar, jaldi se jaldi hamare saare vartaman qanuun ke saare niyam, adhiniyam, hisse, qalam ko samay sima baandhniya kar de, aur pravadhan kare taake bhavishya ke qaanun bhi samay sima bandhan ke saath banaaye jaaye. Udaahran ke taur par, Bhartiya Dandniya Samhita ko samay baadhniya banaa diya jaaye, dafa 420 jo dhoke baazi se judi hui hae os par 2 saal ki samay baadhyata laga di jaaye, dafa 376 jo balaatkaar se judi hae os par 3 saal ki samay baadhyata lagaayi jaaye, dafa 302 jo hatya se judi hae us par 5 saal ke samay baadhyata laga di jaaye. Aesaahi jaaidaad, muaawaza, upbhogta ke sambandhit adhikaaro ke qaanun me bhi samay baandhniyata jodi jaaye.

Koi bhi Qaanun jisme samay baandhniyata naa ho ose aswanwidhaanik maana jaaye. Hamari nyaay pranaali tiin shreni ki bani hui hae, nichli adaalate, uch nyaayaalay aur aakhir me sarwochyam nyaayaalay. Samay bandhniyata aesi ho ke in tino shreni se maamla guzarne me utna hi samay lage, udaahran, paanch saalo me 302 ke hatya ke maamle sarwochyam nyaayaalay tak pohoch kar pore ho jaaye.

Mae, Bharat ke Maananiya Sarwochyam Nyaayaalay se prarthna karta hu ke wo Sansad se kahe ke aesa pravidhan laaye jiske antargat Bharat ke saare vartaman qaanun aur bhavishya me laaye jaane wale qaanun samay sima bhaadhya banaye jaaye.

Krupya karke is page par apna mat dekar sahyog kariye.


Angrezi me: Time Bound Judiciary, India’s Need!

Part 1: Bharat ki zarurat ‘fast track nyaay’ hae naaki ‘fast track adalat’

No comments:

Post a Comment